Naa jane woh aaina kaise dekhtey hongey..
Urdu poetry is a masterpiece of Indian Literature. Nobody can deny the mellowness of Urdu words that directly goes to your heart. Urdu poems seep from your mind to heart and amuse you with their rhythms and expressions. There is a plethora of Urdu works in the forms of poems, lyrics, ghazals, Shayari, qaul, qawwalis, naats and nazms.
There are many famous Urdu poets, Ghalib Mirza, Faiz Ahmad Faiz, Gulzar, Rahat Indori are few names who produced some breathtaking Famous Urdu poems. Their poetry is infused with the true beauty of Urdu expressions and words that Will Make You Love the Language Even More.
The words and emotions that these poets incorporated in their Urdu poems, lyrics, ghazals and shayaris allowed us to discover the magic of this language. These poems in Urdu are not only easier to understand, but also give us many reasons to admire the beauty of the Urdu Language.
The collection of these 18 Famous Urdu Poems by Famous Urdu Shayars make you Fall In Love With Urdu:
1.
Hum ko Maalum Hai Jannat ki Haqiqat Lekin,
Dil ko Khush Rakhne ka ‘Ghalib’ Ye Khayal Accha Hai.
Vo Baat Saare Fasane Mein Jis ka Zikr Na Tha,
Vo Baat un ko Bahut Na-Gavar Guzri Hai.
Kyu Darein Zindagi Mein Kya Hoga,
Kuch Na Hoga toh Tajurba Hoga.
Dil Ҝe Rishte Haɱesha Ҝisɱat Se Hi bante Hain¸
Varna ɱulaqaat to Roz hazaron Se Hoti Hai
dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
Agar Sach Itna Zalim hai to ham se Jhuut hi bolo,
Hamen aata hai pathjhad ke dinon gul-bahar ho jaana
Hazaar baar zamana idhar se guzra hai,
Nayi nayi si hai kuch teri rehguzar phir bhi
na ham-safar na kisī ham-nashīñ se niklegā
hamāre paañv kā kāñTā hamīñ se niklegā
ujāle apnī yādoñ ke hamāre saath rahne do
na jaane kis galī meñ zindagī kī shaam ho jaa.e
ab sochte haiñ lā.eñge tujh sā kahāñ se ham
uThne ko uTh to aa.e tire āstāñ se ham
hosh vāloñ ko ḳhabar kyā be-ḳhudī kyā chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagī kyā chiiz hai
Ham aah bhī karte haiñ to ho jaate haiñ badnām
vo qatl bhī karte haiñ to charchā nahīñ hotā
Khudi ko Kar Buland Itna, Itna ki Har Taqdeer se Phle,
Khuda bande se Khud Pooche, Bata Teri Raza Kya Hai.
bas ik jhijak hai yahī hāl-e-dil sunāne meñ
ki terā zikr bhī aa.egā is fasāne meñ
Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.
kahte kahte kuchh badal detā hai kyuuñ bātoñ kā ruḳh
kyuuñ ḳhud apne-āp ke bhī saath vo sachchā nahīñ
apne chehre se jo zāhir hai chhupā.eñ kaise
terī marzī ke mutābiq nazar aa.eñ kaise
aap ke ba.ad har ghaḌī ham ne
aap ke saath hī guzārī hai